Loading, crafting, and curating…
Loading, Crafting, and Curating...
Loading, Crafting, and Curating...
Ye Station ke bahar mujhe apna sheher dikhta hai, Aur andar train k Safar m mere sapnon ka seher dikhta hai, Wo Jo fakeer mang rha tha pul k kareeb, Jisko m kuch de nhi paya shayad uske liye ja rha hun, Aur mere papa jo mujhe apna sab kuch bechke chorne aaye hai shayad unke liye ja rha hun, Ye announcement jo cheekh cheekh k mujhe rukhsat kar rahi hai ye awaaz mujhe chubh rahi hai, Aur shayad kuch chhoot gaya ghar par hi par wapas ab ja nhi sakta ye ehsaas-e-mehroomiyat mujhe ghut rahi hai, Is sheher m ab duniya jeet ke lautna yesa mujhse kaha jata hai, Hmesha bhagte raho wo kahin ka nahi rehta jo theher jata hai, Ye train bhi badi bewaqt hai bhala raat dhai baje kaun aata hai...